Friday 8 January 2016

milk or suji wala halwa

ASALAMUALAIKUM ::
ÁJ main apko milk wala halwa bnana sikhaun ge chalo jo koie bnana sikhna chahta hai wo mujhe follow kare.
halwa bnane k liye chezon ki zarurat..
halwa bnane k liye humain suji chahye cheni chahye milk chahye or thora sa dry froit or ghee b chahye..
chezon ki tadad,
1 cup suji leni hai
1 cup cheni
2 cup milk
ghee or
thora sa dry fruit
halwa bnane ka tarika,
sab se pehle ap cheni ka raab bnao 
raab bnane k liye
thora sa pani lo or us mein aik sup cheni achay se mix karlo phir aik cup suji ko 2cup milk mein thori dair bhigo do
or thori dair bad aik karhai mein thora sa ghee dalo jb ghee halka garam ho jaye to us mein suji dal kar bhuno or yaad rahe halwa mein hath zyada chalana parhta hai apna hath mat rokna suji ko hilate rehna hai jb suji sai tarha red ho jaye to us mein wo cheni wali raab dal do or us k sath he dry fruit dal do jab thora sa garha ho jaye to chulwa band kardo ye raha apka halwa tyar or maze se khao comment zarur karna .......


:)

No comments:

Post a Comment